qatre ko tum dariya kar do
mujh ko apne jaisa kar do
dil mein apna pyar jaga kar
kash mohabbat wala kar do
mujh ko apna kah kar sab se
mere pichhe duniya kar do
aisi aandhi pyar ki bhejo
dil ka gulshan sahra kar do
tere siwa main kuchh bhi na dekhun
aankh pe aisa parda kar do
dhaDkan aahen sab hain suni
sanson ko bhi tanha kar do
mahfil mahfil dekh chuke hain
jaan mein aa kar jalwa kar do
rukne lagi hai dil ki dhaDkan
ji chahe to achchha kar do
apne 'ziya' ke sath raho tum
mar jae to zinda kar do

Ghazal
Qatre ko tum dariya kar do
Sayed Zia Alvi