qatra-e-ab ko kab tak meri dharti tarse
aag lag jae samundar mein to pani barse
surKH miTTi ki rida oDhe hai kab se aakash
na shafaq phule na rim-jhim kahin baadal barse
hum ko khinche liye jate hain sarabon ke bhanwar
jaane kis waqt mein hum log chale the ghar se
kis ki dahshat hai ki parwaz se KHaif hain tuyur
qumriyan shor machati nahin kis ke Dar se
chaar-su kucha-o-bazar mein mahshar hai bapa
KHauf se log nikalte nahin apne ghar se
muD ke dekha to hamein chhoD ke jati thi hayat
hum ne jaana tha koi bojh gira hai sar se
Ghazal
Qatra-e-ab ko kab tak meri dharti tarse
Zahida Zaidi