qatra dariya-e-ashnai hai
kya teri shan-e-kibriyai hai
teri marzi jo dekh pai hai
KHalish-e-dard ki ban aai hai
wahm ko bhi tera nishan na mila
na-rasai si na-rasai hai
kaun dil hai jo dardmand nahin
kya tere dard ki KHudai hai
jalwa-e-yar ka bhikari hun
shash-jihat kasa-e-gadai hai
maut aati hai tum na aaoge
tum na aae to maut aai hai
bichh gae rah-e-yar mein kanTe
kis ko uzr-e-barhana-pai hai
tark-e-ummid bas ki baat nahin
warna ummid kab bar aai hai
muzhda-e-jannat-e-visal hai maut
zindagi mahshar-e-judai hai
aarzu phir hai dar-pa-e-tadbir
sai-e-nakaam ki duhai hai
maut hi sath de to de 'fani'
umr ko uzr-e-bewafai hai
Ghazal
Qatra dariya-e-ashnai hai
Fani Badayuni