qatl pe tere mujhe kad chahiye
KHub hai ye apne ka bad chahiye
zulf ke kuchon ki daraazi na puchh
chalne ko wan umr-e-abad chahiye
dil ki main karta nahin jhuTi salah
mal hai sarkar ka jad chahiye
fauj ki hai ashk ki haalat tabah
aah se is waqt madad chahiye
shaiKH ki izzat hai min-al-wahiyat
kafash na howe to lakad chahiye
pashm hai yan masnad-e-qaqum ka farsh
ghar mein faqiron ke namad chahiye
pasraw-e-ahmad ho ki marna hai kal
rah na dida ko balad chahiye
hum se ye kya na-KHush o 'qaem' se KHush
jo ho miyan hissa rasad chahiye
Ghazal
Qatl pe tere mujhe kad chahiye
Qayem Chandpuri