qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha
par tere ahd se aage to ye dastur na tha
raat majlis mein tere husn ke shoale ke huzur
shama ke munh pe jo dekha to kahin nur na tha
zikr mera hi wo karta tha sarihan lekin
main ne puchha to kaha KHair ye mazkur na tha
bawajude ki par-o-baal na the aadam ke
wahan pahuncha ki farishte ka bhi maqdur na tha
parwarish gham ki tere yan tain to ki dekha
koi bhi dagh tha sine mein ki nasur na tha
mohtasib aaj to mai-KHane mein tere hathon
dil na tha koi ki shishe ki tarah chur na tha
'dard' ke milne se ai yar bura kyun mana
us ko kuchh aur siwa did ke manzur na tha
Ghazal
Qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027