اردو हिंदी
Qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz | Shaahi Shayari
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz

Ghazal

Qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz

Habeeb Musvi

;

qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
ek hi baat mein ho band zaban-e-waiz

turfa-afat mein phansi aati hai jaan-e-waiz
kaun mai-KHana mein tha martaba-dan-e-waiz

kyun na mina-e-mai-e-nab paTak dun sar par
aish jab talKH ho sun sun ke bayan-e-waiz

is tarah pand-o-nasihat ki uThai tamhid
aaj saqi pe hua mujh ko guman-e-waiz

tezi-e-baada kuja talKHi-e-guftar kuja
kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz

fasl-e-gul aate hi mai-KHana mein ek bhiD hui
na suni ek bhi rindon ne fughan-e-waiz

phir dar-e-pir-e-KHarabaat pe baiTha hai 'habib'
ye to aaya tha abhi sun ke bayan-e-waiz