اردو हिंदी
Qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai | Shaahi Shayari
qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai

Ghazal

Qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai

Hatim Ali Mehr

;

qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai
ab to ai saudaiyo zanjir aadhi rah gai

sari botal ab kahan aadhi mein karte hain guzar
munsifi se mohtasib tazir aadhi rah gai

sham ka wada kiya aae wo aadhi raat ko
jazba-e-dil ki mere tasir aadhi rah gai

Dhal gaya ahd-e-jawani ho gaya aaKHir shabab
zindagi apni bhi charKH-e-pir aadhi rah gai

ek kashish-e-ishq kaman-e-abru ki hai teri taDap
buad mein jo rah thi do tir aadhi rah gai

jubba-sai karte karte ghis gai lauh-e-jabin
meri qismat ki jo thi tahrir aadhi rah gai

sari izzat naukri se is zamane mein hai 'mehr'
jab hue be-kar bas tauqir aadhi rah gai