qasmen wade rah jate hain 
insan aadhe rah jate hain 
KHat se KHushbu uD jati hai 
kaghaz sare rah jate hain 
rab ki marzi hi chalti hai 
aur irade rah jate hain 
lab par ungli rakh leti ho 
hum chup sadhe rah jate hain 
us ke roab-e-husn ke aage 
mare bandhe rah jate hain
        Ghazal
QasMein wade rah jate hain
Wajeeh Sani

