اردو हिंदी
Qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae | Shaahi Shayari
qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae

Ghazal

Qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae

Zubair Rizvi

;

qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae
hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aae

wo tapti dhup se jab saya-e-diwar tak aae
to jati dhup ke manzar lab-e-izhaar tak aae

wo jis ko dekhne ek bhiD umDi thi sar-e-maqtal
usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae

tarab-zadon ki raaten husn se aabaad rahti thin
suKHan-zade to bas zikr-e-lab-o-ruKHsar tak aae

zamin ke hath par hai aasman ye kya maqam aaya
ye kis imkan bhari duniya ke hum aasar tak aae

ana ke gumbadon mein jin ka fan gunja kiya barson
hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aae