qasida fath ka dushman ki talwaron pe likkha hai
jo hum ne nara-e-takbir yalghaaron pe likkha hai
shanasai bhi tere shahr mein jab ajnabi Thahri
to apna nam hum ne ghar ki diwaron pe likkha hai
shab-e-gham aasman ko takta rahta hun pahron yun
ki jaise gardish-e-qismat ka hal taron pe likkha hai
amal se dosto duniya hai jannat bhi jahannam bhi
nisab-e-zindagi insan ke kirdaron pe likkha hai
use puje hai 'muztar' ugta suraj jaan kar duniya
ki jis ne nam apna waqt ke dhaaron pe likkha hai

Ghazal
Qasida fath ka dushman ki talwaron pe likkha hai
Ram Awtar Gupta Muztar