qasam KHuda ki bulandi se guftugu karte
uDan bharne se pahle agar wuzu karte
fana ka KHauf raha raat bhar mohalle par
faqir guzre the kal sham allah-hu karte
hamare saye zaminon mein dhans chuke the yahan
safar ka azm bhala kaise chaar su karte
kisi pe dhup ke chilke na Dalte hargiz
ek aaina bhi agar KHud ke ru-ba-ru karte
jhuki jabin ka meayar baDh gaya hota
gar apne aap ko masjud qibla-ru karte
abhi hui hain kahan pattharon ki barsaten
abhi se phirne lage kyun lahu lahu karte
jo log mom ki dastar bandhe phirte hai
zara si der to suraj se guftugu karte
kiran ke dhage ka hum ko agar sira milta
hawaen site KHalaon ko hum rafu karte
'nawaz' is liye KHamoshiyon se lipTe hain
zaban khulti to paida nae adu karte
Ghazal
Qasam KHuda ki bulandi se guftugu karte
Nawaz Asimi