qarz kya kya nazar pe nikle hain
jab bhi sair-o-safar pe nikle hain
jangalon se guzarne walon ke
raste mere ghar pe nikle hain
nam puchha hai rahgiron ne
jab kabhi rahguzar pe nikle hain
zaKHm phuTe hain ja-ba-ja tan par
kya shagufe shajar pe nikle hain
kya musibat hai shahr walon par
rakh ke saman sar pe nikle hain
sath le kar kitab yaadon ki
ek lambe safar pe nikle hain
dasht-o-sahra se ghum-phir ke 'razi'
ab shanasa Dagar pe nikle hain
Ghazal
Qarz kya kya nazar pe nikle hain
Khwaja Razi Haidar