اردو हिंदी
Qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum | Shaahi Shayari
qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum

Ghazal

Qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum

Faiz Ahmad Faiz

;

qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum
sab kuchh nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hain hum

kuchh imtihan-e-dast-e-jafa kar chuke hain hum
kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain hum

ab ehtiyat ki koi surat nahin rahi
qatil se rasm-o-rah siwa kar chuke hain hum

dekhen hai kaun kaun zarurat nahin rahi
ku-e-sitam mein sab ko KHafa kar chuke hain hum

ab apna iKHtiyar hai chahe jahan chalen
rahbar se apni rah juda kar chuke hain hum

un ki nazar mein kya karen phika hai ab bhi rang
jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum

kuchh apne dil ki KHu ka bhi shukrana chahiye
sau bar un ki KHu ka gila kar chuke hain hum