qarz-e-jaan se nimaT rahi hai hayat
us ki jaanib palaT rahi hai hayat
rafta rafta ghaTa chhaTe jaise
bas isi tarah chhaT rahi hai hayat
chehra pahchan tak nahin pati
gard mein itni aT rahi hai hayat
jaise suraj ghurub hota hai
phail kar yun simaT rahi hai hayat
kitne manzar hain ek manzar mein
kitne hisson mein baT rahi hai hayat
koi us ko baDha na paya 'adil'
lamha lamha jo ghaT rahi hai hayat
Ghazal
Qarz-e-jaan se nimaT rahi hai hayat
Adeel Zaidi