qarya-e-jaan mein koi phul khilane aae
wo mere dil pe naya zaKHm lagane aae
mere viran darichon mein bhi KHushbu jage
wo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aae
us se ek bar to ruThun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aae
isi kuche mein kai us ke shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne ke bahane aae
ab na puchhungi main khoe hue KHwabon ka pata
wo agar aae to kuchh bhi na batane aae
zabt ki shahr-panahon ki mere malik KHair
gham ka sailab agar mujh ko bahane aae
Ghazal
Qarya-e-jaan mein koi phul khilane aae
Parveen Shakir