qarya-e-intizar mein umr ganwa ke aae hain
KHak-ba-sar is dasht mein KHak uDa ke aae hain
yaad hai tegh-e-be-ruKHi yaad hai nawak-e-sitam
bazm se teri ahl-e-dil ranj uTha ke aae hain
jurm thi sair-e-gulistan jurm tha jalwa-ha-e-gul
jabr ke bawajud hum gasht laga ke aae hain
pahle bhi sar bahut kaTe pahle bhi KHun bahut baha
ab ke magar azab ke daur bala ke aae hain
raat ka koi pahar hai tez hawa ka qahr hai
KHauf-zada dilon mein sab harf dua ke aae hain
Ghazal
Qarya-e-intizar mein umr ganwa ke aae hain
Ahmad Azeem