qarib maut khaDi hai zara Thahar jao
qaza se aankh laDi hai zara Thahar jao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare
baDi udas ghaDi hai zara Thahar jao
nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kaDi hai zara Thahar jao
abhi na jao ki taron ka dil dhaDakta hai
tamam raat paDi hai zara Thahar jao
phir is ke baad kabhi hum na tum ko rokenge
labon pe sans aDi hai zara Thahar jao
dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to lun
ye faisle ki ghaDi hai zara Thahar jao

Ghazal
Qarib maut khaDi hai zara Thahar jao
Saifuddin Saif