qamar ki wo KHurshid taswir hai
gale mein sitaron ki zanjir hai
kahan pa-e-jaanan kahan mera sar
ye tale ye qismat ye taqdir hai
KHafa aap se aap hote ho kyun
bata do jo kuchh meri taqsir hai
na kholo KHat us ka dhaDakta hai dil
KHuda jaane kya is mein tahrir hai
numayan hai qaus-e-quzah abr mein
misi par likhauTe ki tahrir hai
munasib hai kuchh kha ke mar jao 'barq'
yahi dard-e-furqat ki tadbir hai
Ghazal
Qamar ki wo KHurshid taswir hai
Mirza Raza Barq