qamar bhi dur na tha kahkashan buland na thi
hamin ko farsh se duri magar pasand na thi
zara si aatish-e-gham se chaTaKH ke bujh jati
meri hayat-e-junun dana-e-sipand na thi
lahu zamin ke shagafon se be-sabab phuTa
falak ki aankh abhi mail-e-gazand na thi
yahi ki pas tha taqdis-e-baam ka warna
talab ke hath mein kya shauq ki kamand na thi
hamare haal pe ahl-e-jahan ke honTon par
hansi na thi koi aisi jo zahr-KHand na thi
shaguft-e-gul ki sada ho ki girya-e-shabnam
jahan mein kaun si aawaz thi jo pand na thi
fareb de gai aalam ko KHu-e-tanhai
mere junun ki tabiat to KHud-pasand na thi
ziyan tha naz mata-e-hunar pe ai 'manzur'
ye chiz chashm-e-zamana mein arjumand na thi
Ghazal
Qamar bhi dur na tha kahkashan buland na thi
Manzoor Ahmad Manzoor