qalb ka ehtijaj hota hai
aur kya iKHtilaj hota hai
sab natija hai apni karni ka
ye jo duniya mein aaj hota hai
ye bhi rangat badalti hai apni
lash ka bhi mizaj hota hai
mahw hote hain ishq mein jo log
un se kab kaam-kaj hota hai
bach ke chalta hai har koi us se
shaKHs jo bad-mizaj hota hai
maslak-e-ishq mein to kasrat se
zulm sahna riwaj hota hai
ishq kya hai tumhein ye batla dun
rog ye la-ilaj hota hai
mere mahbub pairahan mein tere
rangon ka imtizaj hota hai
koi shoaba ho aaj-kal to 'shad'
nazr-o-rishwat ka raj hota hai
Ghazal
Qalb ka ehtijaj hota hai
Shmashad shad