qalam se rabta-e-rang-o-ab TuT gaya
kisi musawwir-e-fitrat ka KHwab TuT gaya
ye dil ki sang na tha ek aabgina tha
na la saka tere jalwon ki tab TuT gaya
sawal ye hai ki main ne kisi se kya paya
jawab ye hai ki barson ka KHwab TuT gaya
hua wo mujh se muKHatab to yun laga jaise
koi sitara-e-gardun-rikab TuT gaya
usul-e-amad-o-raft-e-bahaar kya kahiye
kali jo shaKH pe aai gulab TuT gaya
ghazal ke sher jo ruswa-e-intiKHab hue
bharam nazar ka pas-e-intiKHab TuT gaya
rah-e-hawas mein thi hail zamir ki aawaz
magar taqaddus-e-ahd-e-shabab TuT gaya

Ghazal
Qalam se rabta-e-rang-o-ab TuT gaya
Saba Naqvi