qalam ko is liye talwar karna
ki baDh ke zulm par hai war karna
mili hai zindagi to hum ne socha
hamein kaisa yahan kirdar karna
bhala pahle hi patthar kyun bichhae
agar tha rasta hamwar karna
jahan par man ko gahri nind aai
usi miTTi ka hai didar karna
'saba' hai aazmaish ka tasalsul
ki dariyaon pe dariya par karna
Ghazal
Qalam ko is liye talwar karna
Sabiha Saba