qalam ki nok pe rakkhunga is jahan ko main
zamin lapeT ke rakh dun ki aasman ko main
aziz jaan ho jise mujh se wo gurez kare
ki aaj aaya hua hun KHud apni jaan ko main
hai mauj mauj muKHalif mere safine ki
aur us pe kholne wala hun baadban ko main
fareb-e-zat se bahar nikal ke dekh mujhe
bata raha hun zamane ki aan-ban ko main
hamesha lafz ki hurmat ka pas rakkha hai
baDa aziz hun lafzon ke KHandan ko main
agar main chahun to 'mumtaz' aasman mein uDun
guman yaqin ko de dun yaqin guman ko main
Ghazal
Qalam ki nok pe rakkhunga is jahan ko main
Mumtaz Gurmani