qalam KHamosh hai alfaz ki tasir bole hai
hamari safha-e-qirtas par tahrir bole hai
KHudara ab mujhe aazad kar do qaid-e-paiham se
machal kar panw mein lipTi hui zanjir bole hai
ajab meamar hain jin ki samajh mein ye nahin aata
imarat kitni mustahkam hai KHud tamir bole hai
yahi mahsus hota hai ajanta ki guphaon mein
ki har taswir to chup hai fan-e-taswir bole hai
haqiqat miT nahin sakti badal dene se tariKHen
har ek fan mein hamara husn-e-alam-gir bole hai
karishma ye nahin to aur kya hai KHun-e-nahaq ka
hamari be-gunahi par yahan shamshir bole hai
KHuda bande se kya puchhe wahan us ki raza 'rahbar'
hatheli ki lakiron mein jahan taqdir bole hai

Ghazal
Qalam KHamosh hai alfaz ki tasir bole hai
Rahber Jaunpuri