qalam ho jae sar parwa na karna
amir-e-shahr ko sajda na karna
kiya tark-e-talluq tum ne behtar
magar us ka kahin charcha na karna
mujhe turbat mein az-had aafiyat hai
masiha ab mujhe zinda na karna
baDhata hai kasal duri-e-manzil
KHayal-e-wusat-e-sahra na karna
kaThin ho jaegi manzil-shanasi
kabhi masKH un ka naqsh-e-pa na karna
mohabbat mein ye hai dastur-e-duniya
zara si baat ko ifsha na karna
ye hai ab ek tariqa guftugu ka
kisi ke samne lab wa na karna
tumhaare munh pe wo sach bol dega
muqabil apne aaina na karna
munasib hai ki 'ajiz' tauba kar lo
na tazhik-e-mai-o-mai-KHana karna
Ghazal
Qalam ho jae sar parwa na karna
Ajiz Matvi

