qalam dil mein Duboya ja raha hai
naya manshur likkha ja raha hai
main kashti mein akela to nahin hun
mere hamrah dariya ja raha hai
salami ko jhuke jate hain ashjar
hawa ka ek jhonka ja raha hai
musafir hi musafir har taraf hain
magar har shaKHs tanha ja raha hai
main ek insan hun ya sara jahan hun
bagula hai ki sahra ja raha hai
'nadim' ab aamad aamad hai sahar ki
sitaron ko bujhaya ja raha hai
Ghazal
Qalam dil mein Duboya ja raha hai
Ahmad Nadeem Qasmi