qalam bhi raushnai de raha hai
mujhe apni kamai de raha hai
main dariya de raha hun kashtiyon ko
wo mujh ko na-KHudai de raha hai
koi KHamosh sa tufan hawa ka
parindon ko sunai de raha hai
meri nazron se ojhal hai magar wo
jidhar dekhun dikhai de raha hai
'shahab' uD kar charaghon tak to pahuncho
agar kuchh kuchh sujhai de raha hai

Ghazal
Qalam bhi raushnai de raha hai
Mustafa Shahab