اردو हिंदी
Qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe | Shaahi Shayari
qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe

Ghazal

Qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe

Zareef Lakhnavi

;

qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe
mar de naqa-e-laila na kahin lat mujhe

ruKH-e-raushan pe fida aur na siyah-zulf ka KHabt
na koi din hai mujhe aur na koi raat mujhe

maktab-e-ishq mein baiTha hua hal karta hun
jaise algebra ke milte hain sawalat mujhe

botalen bechte naKHKHas mein dekha us ko
kis jagah ja ke mila pir-e-KHarabaat mujhe

ghusl-KHane mein ye ghassal se murda bola
jail hai qabr to ye ghar hai hawalat mujhe

rishta-e-umr hai kam aur meri rassi hai daraaz
aai charKHe se ye aawaz na tu kat mujhe

nai tahzib ne mashuq ka fashion badla
card bhejun to mayassar ho mulaqat mujhe

dard-e-dil ishq mein hai kahe se sekun main 'zarif'
na falalin hi milti hai na banat mujhe