اردو हिंदी
Qaid mein rakkha gaya qatra to ghaltan ho gaya | Shaahi Shayari
qaid mein rakkha gaya qatra to ghaltan ho gaya

Ghazal

Qaid mein rakkha gaya qatra to ghaltan ho gaya

Rasheed Kausar Farooqi

;

qaid mein rakkha gaya qatra to ghaltan ho gaya
nur ki nahron ko na-paida karan hona hi tha

shohra haikal ke liye aawaza paikar ke liye
har tawanai ko benam-o-nishan hona hi tha

hum ne kuchh yun hi nahin jhela tha qarnon ka azab
aaKHir us dair-ashna ko mehrban hona hi tha

tang jab kar di gai hum par zamin karte bhi kya
laziman hum ko zamin se aasman hona hi tha

kahkashan ki samt uThne the abad-paima qadam
jaanib-e-sayyar tayyara rawan hona hi tha

tha qafas mein bhi to tha fawwara-e-ahang-o-rang
is parinde ko to jannat-ashiyan hona hi tha