qaid-e-tan se ruh hai nashad kya
chand-roza umr ki miad kya
meri iza se adu ho shad kya
tujh pe takiya o sitam-ijad kya
un ki KHatir jaen bazm-e-ghair mein
aarzu-e-jannat-e-shaddad kya
pa raha hai dil musibat ke maze
aae lab par shikwa-e-bedad kya
dil mein jo aae use kah Daliye
aap ki baaten karenge yaad kya
dosto aae hain wo dushman ke sath
mujh ko dete ho mubarakbaad kya
jab nahin kuchh e'tibar-e-zindagi
is jahan ka shad kya nashad kya
kuchh agar tasir rakhti hai to khinch
warna ai dil hasil-e-fariyaad kya
jab ba-rang-e-gul hai paband-e-makan
bandhte hain sarw ko aazad kya
hai tera pamal har naKHl-e-chaman
tere aage sarw kya shamshad kya
yar ki taswir dil par khinch li
khinchte hum minnat-e-bahzad kya
ghair dil se ek dam jata nahin
hum tujhe aaen sitamgar yaad kya
mujh se pahle sun chuke hain ghair ki
wo mere haq mein karen irshad kya
sar Tapakte hain asiran-e-qafas
hai chaman ki ai saba rudad kya
aashiqi hai sar pe lena koh-e-gham
nazish-e-sar bazi-e-farhad kya
arz apni hai jo hai arz-e-adu
dekhiye karte hain wo irshad kya
sar-kashi tujh se kare kya tab hai
aadmi ki ai KHuda buniyaad kya
be-haqiqat jaan kar dil ko 'asar'
to ne ai nadan kiya barbaad kya
Ghazal
Qaid-e-tan se ruh hai nashad kya
Imdad Imam Asar