qaid-e-kaun-o-makan se nikla
har nafas imtihan se nikla
main bujha bhi to mere baad yahan
ek dhuan kaisi shan se nikla
manzil gum-shuda suragh tera
panw ke ek nishan se nikla
shukr hai us ki yaad ka paikar
mere wahm-o-guman se nikla
ek Thokar pe nur ka dariya
shab ki andhi chaTan se nikla
baukhlai hawa ki tair-e-nau
kitni unchi uDan se nikla
aag pani hawa aur miTTi ke
'asif' har imtihan se nikla
Ghazal
Qaid-e-kaun-o-makan se nikla
Iqbal Asif