qaid-e-imkan se tamanna thi gamin chhuT gai
panw hum ne jab uThaya to zamin chhuT gai
liye jata hai KHalaon mein jamal-e-shab-o-roz
din kahin chhuT gaya raat kahin chhuT gai
zindagi kya thi main ek mauj ke pichhe tha rawan
aur wo mauj ki sahil ke qarin chhuT gai
bud-o-bash apni na puchho ki isi shahr mein hum
zindagi lae the ghar se so yahin chhuT gai
dil se duniya tak ek aisa hi safar tha jis mein
kahin dil aur kahin duniya-e-hasin chhuT gai
subh-dam dil ke makan se sabhi rishte TuTe
dar-o-diwar se fariyaad-e-makin chhuT gai
kya gharib-ul-watani si hai gharib-ul-watani
aasman sath chala ghar ki zamin chhuT gai
Ghazal
Qaid-e-imkan se tamanna thi gamin chhuT gai
Shahab Jafri