اردو हिंदी
Qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak | Shaahi Shayari
qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak

Ghazal

Qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak

Ashk Amritsari

;

qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak
ek nai duniya nae insan ki tashkil tak

dam ham-rang-e-zamin phaila diya sayyaad ne
wadi-e-gang-o-jaman se rud-bar-e-nil tak

aankh se bah jaega dil mein agar baqi raha
qatra-e-KHun dastan-e-dard ki takmil tak

shairi ka saz hai wo saz ho jis saz mein
naghma-e-ruh-ul-amin se bang-e-israfil tak

tu hi asrar-e-suKHan se hai abhi na-ashna
warna is ijmal mein maujud hai tafsil tak

bas nahin chalta hai un ka warna ye zulmat-parast
apni phunkon se bujha den arsh ki qindil tak

ashk' apne sina-e-pur-KHun mein sail-e-ashk bhi
rok rakhta hun jigar ke KHun ki tahlil tak