qahqahe ki maut hai ya maut ki aawaz hai
siskiyan leta hua ab zindagi ka saz hai
ek saya laDkhaData aa raha hai is taraf
dekhiye to ek haqiqat sochiye tu raaz hai
ret mein munh Dal kar sanson ka us ka rokna
chand sikkon ke liye bachcha baDa jaanbaz hai
soch ki manzil kahin hai aur aankhen hain kahin
jaanta hun kis mein kitni quwwat-e-parwaz hai
de raha wo dilase kyun jafa karne ke baad
chahta hai mujh se kya kaisa mera hamraaz hai
kis tarah hoga bayan haal-e-dil-e-bimar ab
aasman barham hai aur KHamosh chaarasaz hai
daur aaya hai ajab 'anjum' yahan hoshyar-bash
zagh hai maKHdum aur KHadim yahan shahbaz hai

Ghazal
Qahqahe ki maut hai ya maut ki aawaz hai
Mushtaq Anjum