اردو हिंदी
Qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi | Shaahi Shayari
qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi

Ghazal

Qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi

Abul Mujahid Zahid

;

qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi
ye kya KHabar thi bahaar-e-gulshan lahu mein Dubi hui milegi

jin ahl-e-himmat ke raston mein bichhae jate hain aaj kanTe
unhi ke KHun-e-jigar se rangin chaman ki har ek kali milegi

wo din bhi the jab andheri raaton mein bhi qadam rah-e-rast par the
aur aaj jab raushni mili hai to zist bhaTki hui milegi

nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya
jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi

kabhi to nasl-o-watan-parasti ki tirgi ko shikast hogi
kabhi to sham-e-alam miTegi kabhi to subh-e-KHushi milegi

wo hum nahin hain ki sirf apne hi ghar mein shamen jala ke baiThen
wahan wahan raushni karenge jahan jahan tirgi milegi

talash-e-manzil ka azm-e-mohkam dalil-e-manzil-rasi hai 'zahid'
qadam to apne baDhao aage khuli hui rah bhi milegi