اردو हिंदी
Qafas ko chaman se siwa jaante hain | Shaahi Shayari
qafas ko chaman se siwa jaante hain

Ghazal

Qafas ko chaman se siwa jaante hain

Nasir Kazmi

;

qafas ko chaman se siwa jaante hain
har ek sans ko hum saba jaante hain

lahu ro ke sincha hai hum ne chaman ko
har ek phul ka majra jaante hain

jise naghma-e-nai samajhti hai duniya
use bhi hum apni sada jaante hain

ishaara kare jo nai zindagi ka
hum us KHud-kushi ko rawa jaante hain

teri dhun mein koson safar karne wale
tujhe sang-e-manzil-numa jaante hain