qadr-e-wafa bhi hogi kisi din jafa ke baad
laega rang-e-KHun-e-shahidan hina ke baad
hota hai inqalab jahan har ada ke baad
bebak bhi banoge kabhi tum haya ke baad
lae hain phul ahl-e-mohabbat ki qabr par
kya yaad aa gaya unhen tark-e-jafa ke baad
kabe mein mujh se shan-e-butan puchhte ho shaiKH
tauba mein un ka zikr karunga KHuda ke baad
un ki kamar ka koi pata hi nahin kahin
ye dusra tilism-e-nazar hai huma ke baad
baiThi hai le ke ab mujhe aaghosh mein zamin
aaram se hun kunj-e-lahad mein qaza ke baad
ahl-e-wafa milega na mujh sa jahan mein
pachhtaenge wo 'auj' KHud aaKHir jafa ke baad
Ghazal
Qadr-e-wafa bhi hogi kisi din jafa ke baad
Raj Bahadur Saxena Auj