qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
par kya karen ki ab ke safar hi ajib tha
nikle agar to chand dariche mein ruk bhi jae
is shahr-e-be-charagh mein kis ka nasib tha
aandhi ne un ruton ko bhi be-kar kar diya
jin ka kabhi huma sa parinda nasib tha
kuchh apne-ap se hi use kashmakash na thi
mujh mein bhi koi shaKHs usi ka raqib tha
puchha kisi ne mol to hairan rah gaya
apni nigah mein koi kitna gharib tha
maqtal se aane wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi daricha ki jo be-salib tha
Ghazal
Qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
Parveen Shakir