اردو हिंदी
Qadmon ko Thaharne ka hunar hi nahin aaya | Shaahi Shayari
qadmon ko Thaharne ka hunar hi nahin aaya

Ghazal

Qadmon ko Thaharne ka hunar hi nahin aaya

Arshad Abdul Hamid

;

qadmon ko Thaharne ka hunar hi nahin aaya
sab manzilen sar ho gain ghar hi nahin aaya

thi tegh usi hath mein qatil bhi wahi tha
jo hath ki maqtal mein nazar hi nahin aaya

ghar khod diya sara KHazane ki hawas mein
niw aa gai tah-KHane ka dar hi nahin aaya

kya shaKHon pe itraiye kya kije gulon ka
peDon pe agar koi samar hi nahin aaya

sau KHauf zamane ke simaT aae hain dil mein
bas ek KHuda-pak ka Dar hi nahin aaya