qadam zamin pe na the rah hum badalte kya
hawa bandhi thi yahan piTh par sambhalte kya
phir us ke hathon hamein apna qatl bhi tha qubul
ki aa chuke the qarib itne bach nikalte kya
yahi samajh ke wahan se main ho liya ruKHsat
wo chalte sath magar dur tak to chalte kya
tamam shahr tha ek mom ka ajaib-ghar
chaDha jo din to ye manzar na phir pighalte kya
wo aasman the ki aankhen sameTtin kaise
wo KHwab the ki meri zindagi mein Dhalte kya
nibahane ki use bhi thi aarzu to bahut
hawa hi tez thi itni charagh jalte kya
uThe aur uTh ke use ja sunaya dukh apna
ki sari raat paDe karwaTen badalte kya
na aabru-e-talluq hi jab rahi 'bani'
baghair baat kiye hum wahan se Talte kya
Ghazal
Qadam zamin pe na the rah hum badalte kya
Rajinder Manchanda Bani

