qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena
bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrane mein rakh dena
suna hai hazrat-e-waiz idhar tashrif laenge
zara us kasa-e-gardun ko mai-KHane mein rakh dena
buton ke dil mein yun shayad KHuda ka KHauf paida ho
ye mere dil ke TukDe ja ke but-KHane mein rakh dena
yahan ai dil farishton ka bhi zohra aab hota hai
qadam aasan nahin ulfat ke virane mein rakh dena
chala hai ghar ko diwana uDa kar KHak sahra ki
ghubar-e-KHatir-e-ahbab kashane mein rakh dena
ziyarat ko wo dasht-e-najd ka jaan-baz aaega
zara dam-bhar ko meri nash virane mein rakh dena
ba-faiz-e-hazrat-e-naseh hui taufiq tauba ki
mera jam-e-shikasta un ke shukrane mein rakh dena
munafi tha ye ai mansur dastur-e-amanat ke
kisi ki baat ko yun apne begane mein rakh dena
pilai hai jo 'wasif' ko mai-e-mard-azma saqi
to kuchh shan-e-KHudi bhi apne diwane mein rakh dena

Ghazal
Qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena
Wasif Dehlvi