اردو हिंदी
Qadam uThe to gali se gali nikalti rahi | Shaahi Shayari
qadam uThe to gali se gali nikalti rahi

Ghazal

Qadam uThe to gali se gali nikalti rahi

Irfan Siddiqi

;

qadam uThe to gali se gali nikalti rahi
nazar diye ki tarah chaukhaTon pe jalti rahi

kuchh aisi tez na thi us ke intizar ki aanch
ye zindagi hi meri barf thi pighalti rahi

saron ke phul sar-e-nok-e-neza hanste rahe
ye fasl sukhi hui Tahniyon pe phalti rahi

hatheliyon ne bachaya bahut charaghon ko
magar hawa hi ajab zawiye badalti rahi

dayar-e-dil mein kabhi subh ka gajar na baja
bas ek dard ki shab sari umr Dhalti rahi

main apne waqt se aage nikal gaya hota
magar zamin bhi mere sath sath chalti rahi