اردو हिंदी
Qadam shabab mein aksar bahakne lagta hai | Shaahi Shayari
qadam shabab mein aksar bahakne lagta hai

Ghazal

Qadam shabab mein aksar bahakne lagta hai

Hafeez Banarasi

;

qadam shabab mein aksar bahakne lagta hai
bhara ho jam tu az-KHud chhalakne lagta hai

koi charagh andheron mein jab nahin jalta
kisi ki yaad ka jugnu chamakne lagta hai

shab-e-firaq mujhe nind jab nahin aati
ye kis ka hath mera sar thapakne lagta hai