qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh
zawal-e-ishq mein saudagaron ka hat to dekh
bas ek hum the jo thoDa sa sar uTha ke chale
isi rawish pe raqibon ke waqiat to dekh
gham-e-hayat mein hazir hun lekin ek zara
nigar-e-shahr se mere talluqat to dekh
KHud apni aanch mein jalta hai chandni ka badan
kisi ke narm KHunuk gesuon ki raat to dekh
ata kya dil-e-muztar to si diye mere honT
KHuda-e-kaun-o-makan ke tawahhumat to dekh
gunah mein bhi baDe marifat ke mauqe hain
kabhi kabhi use be-KHadsha-e-najat to dekh

Ghazal
Qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh
Mustafa Zaidi