qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye
ye shahr aaj bhi ek haft-KHwan hai mere liye
nahin hai ab koi ehsas-e-roz-o-shab bhi mujhe
bas ek arsa-e-paikar-e-jaan hai mere liye
na rahguzar-e-shajar-dar hai na aab-o-sahab
ye tez dhup ye sahra-e-jaan hai mere liye
main ek sitara hun us ke falak se TuTa hua
wo dhund hoti hui kahkashan hai mere liye
sameT leti hai mujh ko main TuTa-phuTa sahi
ye raat KHirqa-e-awargan hai mere liye
mahakte rahte hain KHwabon mein hijraton ke gulab
nai zamin naya aasman hai mere liye
ubur karna hai dariya-e-shor mujh ko 'kamal'
aur ek kashti-e-be-baadban hai mere liye
Ghazal
Qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye
Abdullah Kamal