qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha
gulshan-e-dil mein ayan tha mujhe malum na tha
dhup mein gham ki abas ji kun jalaya afsos
us ke sae mein aman tha mujhe malum na tha
yar ne abru o mizhgan sin mujhe said kiya
sahib-e-tir-o-kaman tha mujhe malum na tha
sab jagat DhunD phira yar na paya lekin
dil ke goshe mein nihan tha mujhe malum na tha
KHak tere qadam-e-pak ki ai nur-e-nigah
surma-e-dida-e-jaan tha mujhe malum na tha
main samajhta tha ki us yar ka hai nam-o-nishan
yar benam-o-nishan tha mujhe malum na tha
roza-daran-e-judai kun KHam-e-abru-e-yar
mah-e-id-e-ramazan tha mujhe malum na tha
nigah-e-shoKH ne dil ek karishme mein liya
kya bala saif-e-zaban tha mujhe malum na tha
shab-e-hijran ki na thi tab mujhe misl-e-'siraj'
ruKH tera nur-fishan tha mujhe malum na tha
Ghazal
Qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha
Siraj Aurangabadi