اردو हिंदी
Qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha | Shaahi Shayari
qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha

Ghazal

Qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha

Haidar Ali Aatish

;

qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha
na sarw-e-bagh ko itna kashida hona tha

hua hai zulf se gustaKH kis qadar shana
hamare pas bhi dast-e-burida hona tha

na khinchna tha zuleKHa ko daman-e-yusuf
usi ka parda-e-ismat darida hona tha

diya na sath jo sabr-o-qarar ne na diya
rawana mulk-e-adam ko jarida hona tha

miTae se koi miTta hai baatilon ke haq
kuchh iKHtiyar se kya barguzida hona tha

na jaanta tha ghazab hai nigah ka tir ai dil
tujhi ko samne aafat-rasida hona tha

rulata sham-o-sahar kis tarah na tale-e-past
buland sar se mere aab-dida hona tha

gurez-e-yar ne barbaad kar diya hum ko
ghubar-e-rah ghazal-e-ramida hona tha

na aai daman-e-daya mein nind ai 'atish'
darun-e-daman-e-KHak aaramida hona tha