qabr par howen do na chaar daraKHt
ek kafi hai saya-dar daraKHt
tha main diwana gor par hai zarur
bed-e-majnun ka saya-dar daraKHt
hon wo bad-baKHt mere sae se
KHushk hote hain bar-dar daraKHt
tu jo ai sarw bagh mein jae
samar o gul karen nisar daraKHt
past hon tujh se ghairt-e-tuba
ek kya hon agar hazar daraKHt
wah-re mere aah ke jhonke
uDte phirte hain kah-war daraKHt
main jo tasir-e-ah dikhlaun
koh hil jaen darkinar daraKHt
bagh-e-hasti mein zof-e-piri se
'rind' hun misl-e-bikH-KHar daraKHt
baghban kyun na jaane is ko fuzul
kar chuke apni jab bahaar daraKHt
Ghazal
Qabr par howen do na chaar daraKHt
Rind Lakhnavi

