qabr mein ab kisi ka dhyan nahin
sach hai jab ji nahin jahan nahin
band bulbul hi ki zaban nahin
warna gul to hilate kan nahin
dil ne KHud ulfat-e-kamar ki hai
is mein kuchh mera darmiyan nahin
abhi kya kya na hoga harj nasib
hum nahin hain ki imtihan nahin
dair kyun zahidon ne chhoD diya
kya buton mein KHuda ki shan nahin
shams kaisa chamak ke nikla hai
aaj mera jo mehrban nahin
baat kya hai 'saKHi' jo wo hum se
aise chup hain ki kuchh bayan nahin

Ghazal
Qabr mein ab kisi ka dhyan nahin
Sakhi Lakhnvi