qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki
ye umr bhar mein ek hui hai sawab ki
ai yar tere lab pe tabassum nahin numud
paida hai mah-e-nau se kiran aaftab ki
aaya mizha pe laKHt-e-dil-e-be-qarar yaad
gardish jo hum ne siKH pe dekhi kabab ki
teri kuduraton ne mujhe KHak kar diya
tere ghubar ne meri miTTi KHarab ki
meri KHataen aa nahin sakti shumar mein
ginti ho kya tere karam-e-be-hisab ki
saqi tere karam se ye ummid hai mujhe
ho roz-e-hashr hath mein botal sharab ki
mastan-e-ishq aae talli par ai falak
ab KHair mang tu qadah-e-aftab ki
nashsha zamin se su-e-falak le uDa mujhe
saqi sharab ne meri miTTi KHarab ki
do rose ja ke aabna-ruyon ki bazm mein
kya shakl ho gai dil-e-KHana-KHarab ki
bijli nahin taDapti hai ai dil ye aasman
parwaz uDa raha hai tere iztirab ki
abru ki tegh se jo bacha main to yar ne
barchhi lagai baDh ke nigah-e-itab ki
allah re asar meri baKHt-e-siyah ka
piri mein ehtiyaj nahin hai KHizab ki
'nazim' mere gunah hain bahar hisab se
tashwish kuchh nahin mujhe roz-e-hisab ki

Ghazal
Qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki
Syed Yusuf Ali Khan Nazim